Suna Hoga
Ek Qissa suna hoga
Ishq ka naam suna hoga!
Milte hain do dil duniya ki bheed main
Fir badalta unka zamana suna hoga!
Saath jeeyenge Saath marenge
Hamesha ye hi waada suna hoga!
Kuch jo socha nahi dono ne kabhi
Unke pyar ka ek juda mukaam suna hoga!
Badal jati hai nazar or sabhi chahtein
Aisi judai ka mausam suna hoga!
Na wo sanam na wo waade sare
Tuta har wo ek khwaab suna hoga!
Bohot hi khaas hota hai jo sabke liye
Tumne wo muhabbat ka zikar sare aam suna hoga!!


